Na so saka mei kal raat bhi har raat ki tarah

Na so saka mei kal raat bhi har raat ki tarah –
Terey khwab na dikhey mujhey har baar ki tarah –
Aankhein meri thak gayin magar na hua mehsus –
Terey hathon ka woh lams in per marham ki tarah –
Pehley kabhi aatey they terey khwab mujhey musalsal –
Terey aitraz mei huay woh ma’adum kisi sarab ki tarah –
Kiya jaata tha tera kyun tha merey khwabon per aitraz –
Bezarar khwabon sey merey tujhey zarar pohnchi thi kis tarah –
Khwabon mei bhi rakhta tha tera hijab kisi sheeshey ki manind –
Na lagney di thi kabhi koi thes us per kisi kharash ki tarah –
Tera ehteram bhi muqaddam tha teri hurmat bhi thi wajib-
Tu merey khwabon mei bhi paak thi kisi Maryam ki tarah-
Yeh meri deewangi thi ya tha kuch aur ya thi paristish teri-
Merey dil k mandir mei tu thi barajman kisi devi ki tarah-
Phir koi raat aayegi is tor k aa jaye gi mujhey bhi neend –
Jab tera saath hoga mujhey naseeb kisi hamsafar ki tarah –

Share on facebook
Share on twitter
Share on linkedin
Share on pinterest
Share on vk
Share on reddit
Share on tumblr
Share on whatsapp

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *