Mera Roza Hai

Mera Roza Hai – Ramadan k maheeney k aamad aamad thi, shayad aaj nahi tou kal chand ka ailan hojana tha aur phir Ramadan ka maheena. Maamoolat-e-Zindagi mei kafi bari tabdeeli aajati thi, soney ko kam miley ga aur ghussa bhi bohot aayega logon ko. Yeh sab sochtey huay Afzal daftar sey nikla aur apni gari mei beth kar ghar ki raah ho liya. Ghar pohonchney sey pehley us ney ghar phone kiya aur apni biwi sey pucha kuch lana hai tou batado kyun k ghar jakar phir nikla nahi jata. Biwi ki batai hui ashya khareed kar woh ghar pohoncha tou TV chal raha tha aur us par ailan horaha tha k kal Ramadan hai. Afzal ney eik thandi sans bhari aur khana khakar taraveeh ki tayyari kar ney laga. Taraveeh k liey woh ghar k qareeb hi masjid mei chala gaya Isha ki namaz aur phir taraveeh parhi aur vitar ada kar k wapis ghar aagaya. Subah sehri k liey bhi uthna tha aur phir daftar k auqat bhi tabdeel hogaye they aur subah jaldi jana tha, is liey soney ko lait gaya. Sehri mei aankh khuli tou jaldi jaldi munh dhokar wuzu kar k sehri karney ghar walon k sath beth gaya. Sehri kar k paani piya hi tha k sehri khatam hogayi aur Fajar ki azaan shru hogayi. Woh Fajar ki namaz parh kar ghar aya aur Quran shared parhney laga, thori der Quran shareef parh kar daftar k liey tayyari shru kardi aur phir tayyar ho kar daftar k liey rawana hogaya. Daftar pohonchney wala hi tha k eik simt sey aani wali gari sey us ki gari ki takkar hogayi, us gari sey nikalney waley eik saheb ney aao dekha na tao aur us per mughalazzat ki bochar kardi aur kaha k Ramadan k maheeney mei bhi un jaisey logon ko chain nahi hai aur baghair dekhey gari chalatey hain, log bhi jama hogaye they aur un saheb ko samjhaney ki koshish kar rahey they k bhai aap ney signal tora hai aur Afzal ki is mei koi ghalati nahi lekin woh saheb kisi tor qabu mei nahi aarahey they. Afzal ney kaha saheb mujhey mujhey maaf kar dijiey aur yeh mera number rakhiey aap ney jahan sey bhi gari banwani ho mujhey bata dijiey ga mei aap ka nuqsan pura kardunga. Un saheb ko thora sukun aaya aur woh barbaratey huay apni gaari mei beht gaye, achanak un k zehan mei na janey kiya aaya aur woh gaari sey utar kar Afzal ki taraf aaye aur kaha k eik baat batao meiney tm ko itni gaaliyan di aur shayad ghalti bhi meri thi lekin tm ney bajaye mujh sey larney k tm ney mujh sey maafi mangi, aisa kyun? Afzal muskaraya aur bola aap ko shayad Ramadan k maheeney ka ghussa hai aur mera Roza hai……… Kahani tou yehin khatam hogayi aur un saheb per Afzal ki baat ka kiya asar hua yeh itni aham baat nahi, aham baat yeh hai k aap Rozey rakhtey hain ya aap ko Ramadan k maheeney ka ghussa hai?

Share on facebook
Share on twitter
Share on linkedin
Share on pinterest
Share on vk
Share on reddit
Share on tumblr
Share on whatsapp

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *