Aaj woh eik baap tha – Sohaib 40 saal ka ho chukka tha, aaj us k aaza aur us ka jism nidhal aur thaka hua tha. Us mei woh taqat aur woh josh nahi tha jo aaj sey 10-15 saal pehley hua karta tha. Woh aaj k din k kaam k baad thaka hua apni kursi per betha shayad kuch soch raha tha yaa phir apney puraney din yaad kar raha tha. Zindagi jaisey eik film ki reel ki tarah us k dimagh mei chal rahi thi. Us ka bachpan, us ka larakpan, us ki jawani sab kuch. Us ka apney baba sey pyar, us k baba ki naseehatein aur un ka us sey bey panah pyar. Zindagi k nakam ishq ya shayad woh ishq nahi they. Phir us ki zindagi ka woh taareek pehlu jab us ko nashey ki lat lag gayi thi, aur woh apney baba k sar k jhukney ka sabab bana tha. Phir us k baba ney usey us dunya sey wapis laaye, phir us ka shehar chohr kar jana, apni zindagi ka phir sey shru karna. Kaam mei junoonion ki tarah jut jana phir apna eik naam banana, aur phir apney baba ka sar fakhar sey bulund hota dekhna. Us ki shadi hona, phir us ki zindagi mei eik bahar ka aana us ki beti Zindagi k pahiey mei pis kar apney baba sey us ka alag hona, aur phir baba ka bemar parhna aur phir chand saalon mei us ka baba ka us ko chohr kar Allah k paas chaley jana, us ki shadi mei oonch neech hona aur us ki beti ka dekhtey dekhtey barhey hona, zindagi mei kuch bohot achey doston ka milna, sab kuch us ki aankhon mei jaisey chal raha tha. Zindagi ki shruaat sey leykar ab tak, yeh sab baatein woh kabhi kabhi akeyley mei raat ki tareekyon mei apney aap sey karta aur phir subah naye josh naye walwaley k sath apney bikhrey wujud ko ikatha kar k kaam mei jut jata. Us ney apney sey mutaliq kayi raaz apney aap tak mehdud rakhey they us ki himmat nahi hoti thi kyun k woh kisi k chehrey per koi mayusi nahi dekhna chahta tha, yehan tak k us ney apni bemari bhi sab sey chuhpai thi, kisi ko bhi nahi pata tha siwaye us k. Us ko pata tha k us ka muqabla waqt sey hai aur waqt sey aaj tak koi jeeta nahi tha, waqt usey peechey chohrtey jaraha tha aur us k zimmey abhi bohot sey kaam they, apni beti k mustaqbil k liey kuch karna tha, us ki achi zindagi k liey bohot mehnat karna thi, us ko nahi pata tha k woh waqt ko kaisey haraye ga lekin us ko yeh pata tha k is k ilawa us k paas aur koi rasta bhi nahi tha kyun k us per bohot si zimedaryan thi sab sey ziada apni beti ki zimedari, jis masum ko kuch bhi nahi pata tha aur woh sirf us ki taraf, apney baba ki taraf hamesha eik umeed sey dekhti thi aur us k chehrey per eik yaqeen bhari muskarahat hoti thi, k us k baba us ki har khwaish puri karengey, wohi yaqeen jis sey woh apney baba ko dekhta tha aur us k baba ney us ka har yaqeen pura kiya tha aur kabhi us yaqeen ko tootney nahi diya tha. Woh bhi isi justugu mei laga tha woh bhi nahi chahta tha k us ki beti ka kabhi yaqeen tootey. Zindagi sey larey jaraha tha, waqt ko haraney ki har mumkin koshish kar raha tha kyun k aaj woh eik baap ki tarah sochta tha, kyun k AAJ WOH EIK BAAP THA …………………………………