Aap Zimedar Hain

A short story – Aap Zimedar Hain – Suno zara idhar aao, eik gari sey yeh awaz aayi tou us ney palat kar dekha, woh jo gari k sheeshey saaf karta tha traffic signals par, us ka naam Afzal tha. Afzal ney dekha eik safed si bari si gari mei bethey eik sahib us ko bula rahey hain, us ka chehra khushi sey chamak gaya k sheeshey saaf karney k liey bula rahey hain, woh bhagta hua gaya aur fatafat sheeshey saaf karney laga. Sheeshey chamkaney k baad us ney un sahib ki taraf hath phelaya un sahib ney us k hath mei dus rupey rakhey aur boley aur paisey chahien? Afzal ney kaha ji sahib boliey kiya karna hai? Sahib ney kaha betho gari mei. Afzal ney eik lamhey ko socha phir sar jhatak kar beth gaya. Un sahib ney thori dur jakar gari sarak kinarey rok di aur Afzal sey pucha, tm yeh sab kyun kartey ho? Parhtey kyun nahi? Pata hai, yeh kitni buri baat hai? Afzal zor sey hansa, aur bola aap ki waja sey. Woh sahib barey hairan huay aur boley, meri waja sey! Afzal ney kaha ji sahib aap ki aur aap jaison ki waja sey. Sahib ney pucha woh kaisey? Afzal ney kaha chohriey sahib, eik kaam kijiey mujhey apney ghar ley jaiey apney paas rakh lijiey meri parhai ka kharcha, khaney peeney ka kharcha aur soney ka intizam kar dijiey, mei tayyar hun yeh sab chohrney k liey. Sahib ney Afzal ki taraf ghor sey dekha aur boley sheeshey saaf karney k ilawa aur kiya kaam kar saktey ho? Afzal phir bohot zor sey hansa aur hanstey hanstey gari sey utar gaya………… Woh bola kuch nahi tha sirf hansa tha lekin un sahib ko laga k us ki har hansi mei eik aah chuhpi thi aur har aah mei eik hi sawal tha, tanqeed kyun kartey ho jab khud bhi yehi chahtey ho k koi sasta ghar mei kaam karney wala mil jaye, chahey woh koi bacha hi kyun na ho….. Tanqeed bohot aasan hai lekin islah shayad bohot mushkil………… Sahi kaha tha Afzal ney k woh sahib waja hain us ki haalat ki aur un jaisey bohot sey shayad hum sab bhi……….

Share on facebook
Share on twitter
Share on linkedin
Share on pinterest
Share on vk
Share on reddit
Share on tumblr
Share on whatsapp

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *