Bad Kirdaar (Charcterless)

Bad Kirdaar (Charcterless) – Raat ka na janey konsa peher tha k us ki aankh khul gayi. Abi thori der pehley hi tou soyi thi. Jism thak k choor that lekin shayad us ki rooh ki thakan ziada thi jo usey maarey daalti thi kuch Isi zehni kashmakash k sath woh uth kar beth gayi kyun k Fajar ki azaan honey wali thi aur roz ki tarah us ney ghusal bhi karna tha. Thandey paani sey ghusal kartey huay shayad us ki jalti rooh ko kuch sukoon milta tha is liey bus woh kuch der k liey aankhein moondey bus shower k neechey khari rehti. Jaldi jaldi us ney ghusal kar k saaf kaprey pehney. Azaan mei abhi kuch der thi tou us ney Quran Shareef nikal kar parhna shru kar diya. Us ki aankh sey behtey aansu us ki rooh ki pakeezgi ki gawahi dey rahey they. Abhi us ney kuch safhat hi parhey they k azaan hogayi, woh uthi Quran Shareef band kiya aur jaa namaz bicha kar namaz k liey khari hogayi. Namaz parhney sey jaisey woh halki si hojati. Thori der mei bachon ko uthana tha tayyar karna tha school k liey, ja kar us ney apney dono bachon k masum aur pur itmenan chehrey dekhey tou us k khud k chehrey per eik muskarahat aagayi. Abhi der thi in ko uthaney mei tou woh bhi wahin late gayi, aur aankhein moond li. Achanak sey jaisey us k zehen mei koi dareecha khula aur woh apney maazi k kuch adwar mei nikal gayi. Abhi jaisey kal ki baat lagti thi k us ki ama usey uthati thi k utho school jana hai, us k walid us ka nashtey per intizar kartey, haalan k who fajar ki namaz pabandi sey masjid mei jakar parhtey aur us k uthney sey pehley wapis aajatey lekin woh nashta us k sath hi kartey they, woh apney walid ki laadli jo thi. Khair us ka bachpan bohot hi haseen tha, naazon pali sab ki aankh ka taara thi woh. Phir yun hua k sheher mei dangey phoot parey aur jaisey har koi har eik ka dushman ban gaya aur har eik ko doosrey sey dar lagta tha. Unhi dino ki eik subah us k walid masjid sey wapis na aaye, thori der mei pata chala k wahan firing hogayi thi aur us k walid ko log hospital ley gaye. Yeh chohti si apni ama k sath bhagti larkhrati hospital pohnchi lekin us din us k walid ney apni ladli k aaney ka intezar nahi kiya , shayad unhey jaldi thi is liey jab tak yeh log hospital pohnchey woh jaa chukey they. Us ki maa ki cheekhon aur aansuon mei jaisey pura sheher beh gaya tha lekin woh tukar tukar idhar udhar dekh rahi thi. Us ko shayad ehsas hi nahi tha k us ney kiya kho diya tha. Dost ahbab rishtey daar sab aaye ghar per aur us k walid jo eik safed chadar orhey so rahey they un ko utha kar kahin chal diey, jab kafi der baad sab wapis aaye tou un k sath us k waalid na they. Kuch din guzrey tou eik saheb aaye un k ghar, un ki shakal bohot ajeeb si lagi us ko, jaisey koi gidh ho jo kisi lash ko nochney aaya ho. Woh shaks us ki ama sey baat karta raha jaisey kuch manwaney ki koshish kar raha ho lekin us ki ama musalsal naa kahey jarahi thi. Thori der baad woh shaks uth kar chala gaya, un logon k din bohot kasampursi mei guzarney lagey. Kuch maheeno baad wohi shaks wapis aaya is dafa us k sath eik aurat bhi aayi thi. Dono ama sey phir kuch baat karney lagey, is dafa bhi us ki ama pehley naa karti rahi phir achanak sey roney lagi, us aurat ney ama ko galey sey laga liya. Thori der baad woh shaks kahin chala gaya lekin thori hi der mei aagaya lekin woh akeyla nahi tha. Us k sath eik moulvi saheb aur 2 aadmi aur they. Us ki ama ko us aurat ney sar par dupatta urha diya aur maulvi saheb kuch parhney lagey phir sab ney dua k liey hath uthaye aur dua k baad aaye huay aadmiyion ney us shaks ko aur us aurat ney us ki ama ko galey laga kar Mubarak di. Zor ki awaz aayi ajeeb si cheekhti si awaz, us k zehan ney pehley is awaz ko nahi pehchana lekin kuch hi seconds mei us ko ehsas hua k koi darwazey ki ghanti bajaraha hai. Woh maazi sey bahar nikal aayi aur bahar jakar darwaza khola tou kaam karney wali larki thi us ney usey andar aaney ka kaha aur boli k darwaza sahi sey band kardena. Us larki ney ghar k kaam karna shru kiey aur woh jaldi sey wapis aakar bistar per beth gayi jaisey usey jaldi ho apney maazi k panney palatnney ki. Us din tou woh shaks un k yehan hi raha lekin agley din hi ama ney apna aur us ka saman bandh liya aur woh shaks un dono ko lekar eik aur ilaqey mei eik makaan mei ley gaya. Woh makan un k ghar sey bohot hi bara tha. Khair naye ghar din achey guzarney lagey, ama k chehrey par bhi ronaq aagayi thi aur us ki sehat bhi achi hogayi thi. Khaney k liey acha aur pet bhar k khana, parhney k liey acha school, pehen ney k liey achey kaprey aur khelney k liey barhya khiloney sabhi kuch tha us k paas. Eik din us ney ama ko rotey huay dekha, us ko samajh nahi aayi k ama kyun ro rahi hai. Woh ama k paas jakar beth gayi, ama ney usey dekha tou jaldi sey aansu ponch liey aur usey galey sey laga liya. Woh puchna chah rahi thi k ama kyun ro rahi ho lekin us ki zaban sey lafz ada nahi huay. Baji mei jaun meiney saara kaam kar liya hai, kam wali larki k is sawal ney usey phir maazi sey haal mei kheench liya. Haan jao aur jaatey jaatey darwaza sahi sey band kardena. Larki k jaaney k baad us ney ghari dekhi bachon k aaney mei abhi 2 ghantey they. Maazi ki kitab phir khul gayi, aur wahin sey shru hui jahan ruki thi. Us din k baad us ney apni ama ko ghor sey dekhna shru kiya, tou us ko bohot si pata chalney lagi. Woh shaks ama ko har roz kahin bahar lekar jaata tha aur khud thori der mei wapis aajata tha jab k ama kaafi der baad aati thi. Ama roz tayyar hoti thi bohot make up karti thi lekin us ki aankhein bohot ajeeb si hogayi thi jaisey ro ro kar thak gayi hon. Din guzartey rahey aur woh bari hoti gayi us ka school khatam hogaya tha aur ab woh college jaaney lagi thi, phir woh 18 saal ki hogayi,

Eik din us shaks ney us sey kaha tayyar hojana raat ko jaana hai eik jaga. Us ki ama bhi wahin bethi thi, unho ney us shaks ko dekha aur zor sey kaha k yeh kahin nahi jayegi. Us shaks ney muskara kar ama sey kaha, ab tm sey kharcha pura nahi hota, burhi hogayi ho tm. Us ki ama wahan sey uth kar chali gayi aur woh shaks bhi un k peechey chala gaya. Kafi der tak andar sey zor zor ki awazein aati rahin phir us ki ama ki roney ki awaz aaney lagi. Thori der baad us ki ama wapis aagayin aur unho ney us ko galey sey laga liya, aur boli beta mujhey maaf kardena mei bohot majbur hun, yehan sey tujhey akeyley jeena hai apney aap ko mazbut rakhna aur kabhi bhi kamzor mat parna, yeh dunya kamzoron ko jeeney nahi deti. Yeh keh kar us ki ama uthi aur wapis andar chali gayi, thori der baad andar sey eik zor ki cheekh sunayi di shayad yeh cheekh us shaks ki thi. Woh dor kar andar gayi lekin darwaza andar sey band tha us ney bohot darwaza khatkataya lekin darwaza na khula. Us ki aur samajh mei kuch na aaya tou woh bahar nikal gayi, idhar udhar dekhney lagi k koi mil jaye aur woh us sey madad mang sakey lekin koi nazar na aaya, idhar udhar ghoomtey huay woh police station k paas ja nikli, woh andar chali gayi. Police station mei shayad eik Khuda tars aadmi betha tha, us ney saari baat suni aur 2 police walon ko lekar us k sath ho liya. Ghar pohnchey tou police walon ney andar jakar darwazey par zor zor sey dastak di lekin darwaza nahi khula, woh jo us k sath aaya tha us ney police walon ko kaha darwaza tor dou, police walon ney darwaza tor diya lekin andar k manzar ney tou us ki dunya hi ulat di jaisey, woh shaks bistar per para tha seedha aur us k seeney mei eik chuhra ghusa hua tha aur upar pankhey k sath us ki maa latki hui thi, galley mei rassi ka pandha daaley. Us sey yeh sab bardasht na hua aur woh behosh hokar gir gayi. Jab hosh aaya tou us ney khud ko eik saaf suthrey kamrey mei paaya, us ney bistar sey uthney ki koshish ki lekin us k hath mei zor sey tees uthi aur woh dard sey cheekh pari. Us ki nazar apney hath par pari tou usey pata chala k drip lagi hui hai. Us ki cheekh sun kar eik aurat, jo kafi shafeeq lag rahi thi, andar aagayi. Aur barey pyar sey us k sar par hath pher kar galey sey lagaya, pata nahi us ki aaghosh mei kaisi mamta thi k woh phoot phoot kar roney lagi, roti hi chali gayi, shayad maa ki mout baap ki mout haalat sab ka eik sath hi ro rahi thi. Rotey rotey us ki aankh lag gayi, kafi der baad jab woh uthi tou woh aurat us k paas hi bethi thi. Us aurat ney usey kaha beta mera naam Nasreen hai aur mei yehan ki manager hun tmharey jaisi aur bhi larkiyan hain yehan, yeh ghar un sab ka sahara hai. Tmhara naam kiya hai beta? mera naam Aarzu hai aunty us ki awaz jaisey kahin bohot dur sey aayi thi. Bohot acha naam hai beta. Aao mei tm ko tmhari behnon sey milwayun. Nasreen aunty ney sab sey milwaya Fatima, Shanti, Jennifer, Salma, Jaspreet aur bohot si larkiyan thi. Us k din wahan bohot achey sey guzarney lagey, eik din wahan function tha us jaga ki dasween anniversary thi. Tamam larkiyan khoob tayyar huin aur function mei shamil eik drama aur kuch musical acts mei bhi hissa liya. Us ney bhi eik chohta sa kirdar nibhaya baad mei sab ki mulaqat wahan k chairman sahib sey karayi gayi, chairman saheb ney us sey kaafi sawal kiey aur chaley gaye. Lekin agley din phir aaye aur Nasreen aunty sey baat ki, Nasreen aunty us k paas aayin aur kaha Aarzu beta tmhey chairman saheb k sath jana hai woh tmhey adopt karna chahrahey hain, un ka is dunya mei koi nahi is liey. Us ney sirf sar hila diya aur saman bandh kar chairman saheb k sath holi. Rastey bhar sochti rahi k chairman saheb shayad us k abba ki umar k hongey. Khair chairman saheb ka ghar aagaya wahan kuch aur log bhi they, sab usey ajeeb si nazron sey dekh rahey they. Chairman saheb usey lekar eik kamrey mei aagaye aur kaha yeh tmhara kamra hai, naha lo aur kaprey change kar k bahar aajao aur mehmano sey sahi tarah sey milna. Us ney sar hiladaya, naha dho kar tayyar hokar woh bahar aagayi wahan saarey log they, chairman saheb ney us ka hath pakra aur tamam mehmano sey introduce karaya sab ney us sey hath milaya usey bohot ajeeb laga lekin us ney kuch kaha nahi. Thori der baad wahan music shru hogaya, sab logon ney dance karna shru kiya, chairman saheb ney us ka hath pakra aur us ko dhaka dey kar kaha tm bhi nacho. Us ki tou jaisey andar koi cheez zor sey tooti, aur is sey pehley k woh sambhal paati wahan k sab logon ney us ko pakar pakar kar nachna shru kiya aur is sab cheez ka ikhtimam wahan hua jahan sey bachaney k liey shayad us ki ama ney qatal kiya tha aur apni jaan di thi. Un sab k jaaney k baad chairman saheb bhi chaley gaye aur woh apney kamrey mei bey sudh pari rahi, jism mei shayad jaan hi nahi thi ya shayad rooh mar gayi thi. Raat bhar jagtey rehney k baad subah honey k waqt us ko neend aagayi, sahi kaha tha kisi ney neend tou suli par bhi aajati hai. Khair kaafi der soney k baad woh uthi tou chairman saheb aaye huay they, chairman ney kaha suno meri baat tmhari paas 2 rastey hain eik yeh shor machao aur puri dunya mei ailan karo k tmharey sath kiya hua aur doosra yeh k yehan raani ban kar raho apni har khwaish puri karo aur phir jab mera dil bhar jaye tou mei tm ko itney paisey dun ga k tmhari baqi zindagi aaram sey guzar jaye. Us ney chairman ki taraf dekha aur nafrat sey thook diya aur kaha mei shor nahi machaungi kyun k mujhey pata hai aap ka asar aur rasookh bohot hai aur aap k samney meri koi nahi suney ga lekin mei yehan nahi rehna chahti mei jarahi hun, chairman k dil mei na janey kiya aayi aur us ney kaha paisey lelo mujh sey, paisey k baghair zindagi bohot mushkil hai. Us ney kaha k nahi chahiey mujhey paisey aur apna saman utha kar nikal gayi.

Woh nikal tou aayi lekin ab woh yeh soch rahi thi k kahan jayegi, aur usey bhook bhi lag rahi thi kyun k khaya tou kuch bhi nahi tha us ney bus nikal aayi thi. Us ney socha pehley kuch khalun lekin khaun kaisey, chaltey chaltey woh eik dargah k paas pohonch gayi wahan koi Allah ka neik banda khana bant raha tha, us ney bhi line mei lag kar khana liya aur pait bhar kar khaya. Ab pait mei gaya kuch tou zehan ney kaam karna shru kiya socha koi kaam karlun lekin kiya kaam sirf A levels ki base per kon kaam dey ga, phir bhi us ney socha k try kartey hain.Kaafi jaga gayi lekin usey saaf inkaar sun ney ko mila thak gayi thi woh itney dino sey usi dargah sey khana kha rahi thi, eik din woh eik NGO mei chali gayi wahan k head eik saheb they jo shakal sey tou shareef lagtey they, unho ney pucha beti kiya masla hai, us ney un ko apni kahani sunayi aur un sahib ney kaha tm yehan kaam karlo. Andhey ko kiya chahuey 2 aankhein, us ney wahan kaam karna shru kar diya. Lekin qismat shayad us ko abhi aur aazmana chahti thi, kuch dino baad un saheb ney bhi wohi kuch kiya jo chairman ney kiya tha. Aur woh wahan sey bhi nikal gayi, Nasreen aunty k yehan sey nikley usey 4 months hogaye they aur us mei 2 aisey hadsaat huay they jinho ney na sirf us ki mojuda zindagi per gehra asar daala tha bal k shayad us ki aaney wali zindagibhi usi asar mei rehney alit hi, woh ajeeb sey khayalat zehan mei liey chali jarahi thi k achanak sey usey zor ki matli hui aur chakkar aana shru hogaye us ney sambhalney ki bohot koshish ki lekin chakkar bohot zor sey aaya aur woh wahin gir gayi. Paas sey guzarney wali 2 khwateen ney usey uthaya aur sahara dekar qareeb hi footpath par betha diya. Us ko bohot kamzuri mehsus horahi thi aur chakkar rukney ka naam hi nahi ley rahey they, usey phir zor ki ubkai aayi, un 2 auraton ney eik doosrey ki taraf dekha aur usey baghlon mei hath daal kar uthaya aur qareeb sey jaati taxi ko rok kar us mei usey bhi bithaya aur khud bhi beth gayin. Taxi eik hospital jakar ruki, un dono auraton ney usey sahara dekar bahar nikala aur andar hospital ley gayin. Doctor ney usey check kiya aur eik drip lagadi, woh dono auratein usey mil kar wahan sey chali gayin. Doctor ney aakar us sey kaha aap apney husband ko bula lijiey, husband ko? Us ney hairat sey pucha, doctor ney kaha ji kyun k aap maa ban ney waley hain aur aap ka aisi haalat mei akeyley jana theek nahi. Us ney kaha woh mulk sey bahar hain , mei chali jaun gi. Doctor ney kaha aap ki marzi. Woh hospital sey nikal kar qareeb mei eik bagh mei aakr beth gayi. Aur sochney lagi k woh aur maa ban ney wali, kiya krey gi kaisey karey gi. Apna nahi pata is bachey ko kaisey paaley gi, jaisey us k zehan mei kuch aaya aur woh eik pur azam chehra liey uthi aur taxi rok kar chairman k ghar chali gayi. Ittefaq sey chairman ghar per hi tha, us ney chairman sey kaha mei wapis aagayi hun lekin meri eik shart hai, chairman ney eik shaitani muskarahat sey us ki taraf dekha aur kaha bolo, us ney kaha mei aap k paas 2 maheeney rahun gi aap ney mujhey 5 lakh deney hain aur rehney ko eik makan chahey chohta sa sahi. Chairman ney kuch socha aur bola lekin mei jo kahunga tm ko karna parey ga, koi nakhrey nahi. Us ney kaha manzoor lekin 2 maheeney k baad aap meri shakal nahi dekhengey nahi mei aap ki, kabhi koi wasta nahi rakhengey. Chairman ney kaha manzoor. Us din sey har raat us ki rooh kuchli gayi lekin woh eik mujasmey ki manand sehti rahi, din mei us ney silai karhai aur teaching k courses karna shru kar diey. 2 months purey hogaye they aur us k jism mei ab numaya tabdeeli aagayi thi. Chairman ney jo kaha tha woh kar diya aur woh apney makan mei shift hogayi, 5 lakh rupey bhi us k account mei jama kara diey gaye. Us ney aas paas k logon sey keh kar silai ka kaam lena shru kiya aur bachon ko tution bhi parhana shru kardiya. Wahan us ney sab ko bola tha k us k husband ki death hogayi accident mei, mohalleh ki auratein us k paas aksar aati jaati rehti thi, us ki silai aur teaching bhi khoob chal rahi thi k woh din aagaya jab us ko bohot zor sey pain hua aur us ney paros mei rehney wali Shama jo k us ki achi dost ban chuki thi phone kiya aur Shama aur us ka husband us ko hospital ley gaye. Us k yehan twins huey they eik larka aur eik larki, us ko jab hosh aaya tou us ney bey qarari sey apney bachey ka pucha, jab us ko pata chala k us k yehan twins huay hain tou woh bey ikhtiar roney lagi aur dono ko chumney lagi. Achanak sey ghanti ki awaz ney usey mojuda zindagi mei wapis ley aayi. Jaldi sey uth kar us ney time dekha bachon k aaney ka time tha, us ney bhag kar darwaza khola, bachey hi they us ney in dono ko galey sey lagaya aur andar ley aayi. Us ney apney bachon per apney maazi ka saaya bhi parney diya tha, eik khayali shaks ko un ka baap bhi bana diya tha aur pura din silayi karti aur tution parhati paisey kamati k in bachon ko kisi cheez ki hasrat na rahey. Lekin us ka maazi us ko nahi soney deta tha aur jab thakan us k maazi k azab par havi hojati tou woh sojati thi. Zamana shayad us ko bad kirdar kahey lekin us bad kirdar ney eik maa ka kirdaar khoob nibhaya tha aur nibha rahi thi……..

Share on facebook
Share on twitter
Share on linkedin
Share on pinterest
Share on vk
Share on reddit
Share on tumblr
Share on whatsapp

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *