Darpok

Darpok Woh bachpan sey hi bohot darpok tha, har waqt koi na koi dar laga rehta tha us ko. School mei mohalley us ki umar k larkey ya us sey barey jab us ko tang kartey ya us per phabtiyan kastey tou woh dar k maarey khamosh rehta k kahin jawab deney per pit na jaye ya woh larkey kahin us sey baat karna na chohrdein. Har waqt eik akeyley pan ka ehsas hota usey jaisey us ka koi nahi aur woh is dunya mei bus khwamakhwa mei aagaya hai. Ghussa aata ya kabhi kisi sey larai hojati agar tou woh rona shru kardeta. Ghar mei bhi sab they lekin us ko hamesha yeh dar laga rehta k usey koi maarey nahi ya us sey baat karna na chohrdey is liey chahey kitni hi koi baat na pasand ho ya kitni hi na mumkin woh har waqt haan bolta aur phir darta rehta k us sey woh kaam kaisey hoga. Dar ney us ko bohot khamosh kar diya tha bus apney aap sey baat karta rehta aur har rishtey sey har dost sey baat karney sey us ka bartao aisey hota jaisey kisi mansooba bandi k tehat kar raha ho aur har waqt us mansoobey k nakamyab honey ka usey dharka laga rehta, Us ki sari mansooba bandi ka maqsad sirf itna hota k woh apney ghar walon k liey doston k liey aham rahey. Is mansooba bandi ka us ki shaksiyat per yeh asar hua k who dohri shaksiyat ka shikar hogaya. Eik woh jo doosron k liey thi aur eik woh jis ka sirf us ko pata tha. Zindagi k har guzartey lamhey ney us ko dar ko na sirf aur pukhta kiya tha bal k us ki shaksiyat bhi dohri ho chuki thi. Jaisey eik jism mei 2 rooh rehti hon.

Share on facebook
Share on twitter
Share on linkedin
Share on pinterest
Share on vk
Share on reddit
Share on tumblr
Share on whatsapp

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *