Eik Zakhmi Parinda

Eik Zakhmi Parinda –
Tarapta pharpharata –
Ristey zakhmo sey larta –
Kabhi eik par sey urta –
Kabhi dono sey uran bharta –
Kabhi thak kar beth ta –
Kabhi dard sey gir jata –
Kanptey dil aur dur hoti saans –
Sey aankhein meech leta –
Dar k maarey phir uth ta –
Uth k phir gir jata –
Kabhi mout ka khof tou kabhi –
Khwaish mout ki –
Kabhi zindagi sey thak kar –
Tou kabhi zindagi ki umeed par –
Himmat jama karta –
Uran bharta –
Kabhi us uran ko aakhri samajhta –
Kabhi usi sey umeed bandhata –
Eik Zakhmi parinda –

Share on facebook
Share on twitter
Share on linkedin
Share on pinterest
Share on vk
Share on reddit
Share on tumblr
Share on whatsapp

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Interesting Posts