Khud Kalami – Aaj eik taweel mukalma hua, kafi der tak baat cheet chalti rahi. Mazi k dareechey khuley tou kabhi haal ka bayan aur thora mustaqbil bhi zer-e-behas aaya. Kuch baatein un ki huin jin sey dil ka rishta tha tou zikar un ka bhi hua jo khoon mei saanjhey they. Kuch un lamhat ki baat bhi hui jo jaan per bohot garan they aur kuch un saaton ka bhi zikar hua jo rahat-e-qalb thi. Kuch doston ka bhi zikar tha, bachpan k belos aur kuch waqt k beton ka bhi noha bayan hua. Woh ranj bharey dil ko cheer deney waley waqiyat aur kuch zakhmo per marham rakhney walon ka lams bhi mehsus hua. Gharz yeh k, har qisam ki har tor ki baat aur waqiyat zer-e-guftagu aaye. Aansu bhi pohnchey aur hansi bhi zor sey aayi. Kahin hansi itni thi k aankhein nam hogayin tou kahin rona is qadar tha k siskaryan na ruk sakin. Kayi safar namey bhi bayan huay, naye logon aur riwajon per bhi takallum hua. Kuch ghaltiyon per nadamat bhu hui tou kuch sazaon per hairat bhi. Aaj waqai jaisey puri zindagi bayan hogayi. Aur phir aaney waley dino per bhi baat hui, kuch iradon aur maqasid per bhi socha aur bola gaya. Zindagi ki mayad ka pata nahi tha magar mansooba sazi kayi saalon ki gayi. Bil aakhir baat kartey kartey thak gaya lekin dil bohot halka hogaya tha. Aaj barey dino baad meiney khud sey kalam kiya tha. Khud Kalami tou thi lekin gham gusari bhi thi, khud kalami tou thi magar hosla bhi bandha gayi aur dalasa bhi bohot mila. Khud Kalami ……………….. eik naimat hi hai jahan kisi baat k wohi maana hotey hain jo kahey gaye hon aur sochey gaye hon…..