Mei Insaan Dhoond Raha hun – (Zindagi ki kitab sey) – Zindagi k mukhtalif adwar mei kai logon sey mulaqat hui, kuch log zara der ko miley tou kuch logon ka qayam thora ziada raha. Aisey hi logon mei tha woh eik shaks jo bus lehza bhar k liey hi aaya tha lekin zindagi ki eik bohot bari seekh dekar gaya . La ubali pan ka dour tha, zindagi mei har cheez bus ghair sanjeeda si lagti thi. Aisey hi eik din woh shaks mila. Kaafi mamuli sa hulya tha us ka, eik footpath par betha bus aaney jaaney walon ko ghor sey dekh raha tha. Naa hi kuch keh raha tha aur naa hi kuch mang raha tha. Aam tor per mei is tarah k logon sey koi khas raghbat nahi rakhta tha bal k yeh kaha jaye tou ziada sahi hoga k mei chirta tha aisey logon sey kyun k merey khayal mei aisey log anokhi harkatein kar k logon ko maro’ob karney ki koshish kartey they aur maqsad sirf itna hota tha k log ziada sey ziada paisey dein. Khair mei us shaks per eik nazar daalta hua aagey barha hi tha k awaz aayi bhai zara baat sun na; Meiney us ko mur kar dekha aur sath hi merey chehrey per eik muskarahat aagayi k thi k jo mujhey guman tha who sahi nikla aur ab yeh shaks eik lambi dukh bhari kahani sunaye ga aur phir paisey mangey ga. Meri awaz mei kaafi mei chircharahat thi jab meiney us sey pucha, kiya baat hai? Us ney kaha kuch nahi bus yeh aap ki jaib sey shayad kuch gir gaya tha is liey aap ko awaz di. Meri chircharahat ko eik jhatka laga aur woh hairat mei tabdeel hogayi, meiney jhuk kar, apni jaib sey girey us 100 rupey ka note ko utha liya. Meiney us shaks sey pucha tm ney mujhey awaz kyun di aur merey jaaney k baad yeh note khud kyun nahi utha liya, mujhey kiya pata chalna tha. Merey sawal per pehley tou is k chehrey per thori si nagawari aayi lekin phir woh muskara diya aur kaha k aap ko nahi pata chalta lekin mei us ko kiya jawab deta jis sey kuch bhi chuhpa nahi, who saat jahano ka Malik mera Allah, jab mujh sey puchta k meiney yeh kyun kiya tou mei kiya uzr pesh karta, yeh keh kar woh shkas khamosh hogaya. Pata nahi mujhey aisa kyun laga k mujhey us shaks sey aur baat karni chahiey aur jan na chahiey hai isey. Lekin beech footpath per us sey baat karna mujhey munasib nahi lag raha tha. Is liey meiney us sey pucha k chaye piyo gey us ney jawab diya k talab aisi kuch khas nahi lekin aap shayad mujh sey kuch puchna chah rahey hain, is liey chaliey. Meiney us shaks ko liya aur paas hi eik chaye k hotel mei ley gaya. Chaye aur sath mei kuch cake aur biscuit ka order deney k baad meiney us sey pucha; eik baat batao, Tm lagta hai kaafi der sey yehan bethey ho lekin na kuch keh rahey ho naa hi kuch kar rahey ho bus logon ko dekh rahey ho, aisa kyun? Us ney kaha aap ko shayad lagraha hai k mei koi mangney wala hun. Mei yehan kuch mangney nahi bal k dhoondney betha hun. Meiney us sey pucha kiya dhoond rahey ho tou us ney sargoshi jaisi awaz mei kaha mei Insaan dhoond raha hun. Na chahtey huay bhi mujhey bey ikhtiar hansi aagayi aur meiney kaha yeh jo itney saarey log yehan aatey jaatey dikh rahey hain, yeh kon hain? Insaan nahi hain yeh kiya? Us ney kaha haan yeh sab insaan hain lekin inhey is cheez ka idrak nahi k yeh Ashraf-ul-Makhlooqat hain, yaani tamam makhlooq sey achey aura ala. Mujhey yehan eik kutta dikhta hai jo eik zakhmi kuttey k zakhmon ko chat kar theek karney ki koshish karta hai aur us k liey khana bhi ley kar aata hai. Mujhey bohot saarey kawey dikhtey hain jo kisi eik k bachey k neechey gir jaaney sey mil kar shor machatey hain aur puri koshish kartey hain k us ko koi nuqsaan na pohnchey. Mujhey bohot saari gaye bhensey dikhti hain jo eik ke peechey eik line mei chalti jaati hain. Aur insaan jo in sab sey aala aur mohtaram hai, mujhey aisa koi insaan nahi dekhta jo kisi girey ko utha raha ho yaa kahin par apni baari k intezar mei sabar sey khara ho qataar mei, yaa sarak kinarey kisi bhookey ko kuch khila raha ho. Tou bus mei usi insaan ko dhoond raha hun jo asharaf-ul-makhlooqat ho. Mei dar haqeeqat eik Insaan dhoond raha hun….. Merey paas alfaaz khatam hogaye they yaa shayad meri zaban gung hogayi thi. Mei utha hotel waaley ko paisey diey aur us sey haath mila kar chal diya. Lekin aaj bhi us I sada merey kaano mei kabhi kabhi goonjti hai “Mei Insaan dhoond raha hun”