Mujhey dil sey na samajhna, dimagh sey tolna –
Mujhey ghair hi samajhna, apno sa na baratna –
Mei kardun ga apni kahani bayan, magar shart hai –
Meri baaton ko sun’na, merey khayal ko na samajhna –
Dekhna merey kaamo’n ko merey gunaah samajh kar –
Na deyna koi taaweel aur naahi mujh per reham karna –
Zeher ki tarah sarayyat kar jayega mera wajud forun –
Gar jo lagaya mujhey gaaley, phir naa mujhey ilzaam dena –
Karna hi hai agar mujhey samajhney ki koshish tum ko –
Na karna kabhi bhi maatam aur naa hi phoot k ro dena –