Na Mard (Eik Unkahi Kahani) Arey beta ro mat mard bano yeh kiya larkiyon ki tarah ro rahey ho. Yeh eik awaz woh apney bachpan mei aksar suna karta tha, jab bhi woh girta tha yaa usey chot lagti thi ya kisi aur waja sey jab bhi woh rota tha. Thora bara hua tou doston mei aur bahar jab bhi koi jhagrey wali baat hoti thi aur woh larna nahi chahta aur koshish karta k jhagrey wali jaga sey chala jaye tou usey aisa hi eik aur jumla sun ney ko milta, arey mard ban kiya na mardon ki tarah bhag jata hai. Us k pukhta hotey zehan mei ney sirf eik baat samjhi k agar ro tou larki keh lao gey aur agar na laro tou na mard. Isi khayal ko apney la shaoor mei liey woh zindagi k manazil tey karta gaya aur yeh baat jaisey us k la shaoor mei kahin kho si gayi. Phir eik din us ki shadi hogayi, shadi k kuch din bohot achey guzrey aur phir ghar mei saas bahu yaani us ki maa aur biwi mei chohti moti chapqilashein shru hogayin. Woh jab ghar aata tou pehley maa sey aur phir biwi sey sari roodad sunta, us ka maa ko jawab hota k acha maa mei us ko samjhaunga aur biwi ko kehta k bari hain buzarg hain meri maa hain, agar unho ney kuch ghalat bhi bol diya tou ahtaraman sar ko jhuka liya karo, chup raha karo. Kyun k shayad woh aaj bhi jhagra nahi chahta tha. Kuch din aisey hi chala aur baat khatam hojati thi. Eik din woh ghar aaya tou us ki maa ney phir biwi ki roodad sunai aur kaha tu kuch na karna apni biwi ko na samjhana bus na mardon ki tarah sar jhukaye suntey rehna. Us k kaano mei phir sey eik lafz goonjney laga Na Mard, La shaoor sey jaisey kisi ney kheench kar us k munh per dey maara Na Mard. Zabt k tamam tar rasiyon ko thamey woh sar jhuka kar sunta raha aur jab maa bol bol kar thak gayi tou us ney maa ko pyar kiya aur maafi mang kar kamrey mei chala gaya. Jahan us ki biwi bhari bethi thi, ab biwi shru ho gayi aur woh apni biwi ko yaas bhari nazron sey dekh raha tha, us ko yeh baat dehlaye jaa rahi thi k agar us ki biwi ney bhi us ko kuch aisa bol diya tou, us ka zehan apni biwi ki baat nahi sun raha tha bus us mei eik lafz ki garden chal rahi thi Na Mard. Achanak us ko apni biwi ki cheekhti hui awaz sunai di, tm meri baat sun rahey ho ya nahi? Sath hi us ney eik duhai di aur woh duhai thi Ya Allah kis Na Mard sey meri shaadi hogayi. Na Mard! Us ney yeh lafz suna aur ultey qadmo ghar sey bahar chala gaya, chalta raha phir eik sunsan jaga per beth gaya k shayad ab us ki tangon mei sakat na thi. Us ki rooh tak mei sirf eik lafz ki goonj thi, Na Mard, Na Mard, Na Mard………….. Achanak woh utha aur tez qadmon sey chalna shru kar diya, jaisey kuch mil gaya ho, jaisey koi faisla kar liya ho us ney…. Aap sab shayad yeh soch rahey hon k us ney khudkushi kar li, nahi us ney khud kushi nahi ki kyun k us per jo zimedaryan thi un zimedaryon ney us sey yeh haq bhi cheen liya tha. Woh ghar wapis chala gaya aur us ney apney liey is laqab ko qubul kar liya. ………………………… Khawateen k huqooq, bachon k huquq aur bohot sey logon k huquq per bohot kuch likha aur kaha jata hai lekin mardon k huquq par kabhi kuch kaha aur likha nahi gaya. Kyun k mard tou zaalim aur villain ka kirdar nibhatey hain un sab baaton aur kahanio mei jo auraton, bachon aur baqi sab k huquq par likhi aur kahi jaati hain. Aur woh jo muashrey ka zaalim kirdar hai agar un sab baaton sey gurez karey jo muashrey mei us sey mansoob ki jaati hain tou usey Na Mard keh diya jaata hai…………… Yeh jo kuch bhi likha hai yeh tou yehin khatam hogaya lekin shayad eik sawal hai is mei jis ka jawab nahi mil saka, woh sawal aur woh jawab agar aap ko mil jaye tou kisi na mard ko apni zaat ki nafi karney sey bacha lijiey ga aur us ko Zalim aur Na Mard k darmiyan ka kuch keh dijiey ga…………………..