Shohrat e rafta per aakhir kab tak jiye jao gey

Shohrat e rafta per aakhir kab tak jiye jao gey –
Najeeb-ul-Tarfain ho aakhir kab tak manwaye jao gey –
Jo tha naam ajdaad ka tumharey tou woh karam they un k –
Unki nekyon par apney gunah kab tak maley jao gey –
Hongey sharminda woh bhi aaj tumharey wajud par –
Unki roohon ko tum kab tak bey chain kiye jao gey –
Maghrur baney tou ho tum apni aala nisbat par, lekin –
Kiya apney aamal sey kabhi un ka bhi fakhar ban pao gey –
Paida hota hai Wali k ghar shaitan, yeh eik kahawat hai –
Misal is kahawat ki tum magar kab tak baney reh jao gey –

Share on facebook
Share on twitter
Share on linkedin
Share on pinterest
Share on vk
Share on reddit
Share on tumblr
Share on whatsapp

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *