Tark e taaluq ka ilzaam mujh per hi kyun

Tark e taaluq ka ilzaam mujh per hi kyun –
Samajh letey agar shikwa na kartey yun –
Kharey they wahin jahan they sitamgar saarey –
Badal letey jo zaiwya tou mei na dikhta yun –
Morud –e-Ilzam tehraya bina kuch jaaney ya samjhey –
Eik tarfa faisla sunaya, kon karta hai munsifi yun –
Mein ney nahi bola, naa bataya kuch bhi tum ko –
Tum kyun gung kharey rahey, bolo aakhir kyun –
Chalo tamam karo yeh takrar, aao shuru karein phir –
Kab tak raho gey dur, kiya khatam hoti hai muhabbat, yun-

Share on facebook
Share on twitter
Share on linkedin
Share on pinterest
Share on vk
Share on reddit
Share on tumblr
Share on whatsapp

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *