Ujar gaya hun magar mein ab bhi shahrah-e-aam nahi hun

Ujar gaya hun magar mein ab bhi shahrah-e-aam nahi hun –
Muqaffal aaj bhi hain raastey merey khandaron ko jaaney k –
Bouseeda hogayi hai kitaab merey afsaano ki magar jaan lo –
Mawraa-e-feham aaj bhi hain alfaaz, nahi samajh aaney k –
Chohrdo is raah ko aur chal paro kisi aur taraf ko tum –
Yeh raah pur khaar hai tumharey qadam nahi taab laney k –
Irada agar ab abhi rakhtey ho, hai imaan apni sakat per tou –
Aazma lo khud ko, k ab aur nahi alfaaz tum ko samjhaney k –

Share on facebook
Share on twitter
Share on linkedin
Share on pinterest
Share on vk
Share on reddit
Share on tumblr
Share on whatsapp

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Interesting Posts