Woh junoon tha taari mujh per ya pagalpan tha mera –
Ishq ka sehar tha woh ya woh deewanapan tha mera –
Na thi khud ki khabar aur na hi kahin koi thikana tha –
Dhoondta tha usey shayad ya kho gaya tha pata mera –
Ajeeb sa sukut tha zehan mei rooh mei tha heejan barpa –
Wajad ka aalam tha woh ya woh raqs-e-alwida tha mera –
Khud ko bhi bhool gaya tha aur na tha kuch aur bhi yaad –
Nasha mei doob gaya tha mei ya hosh na tha aashna mera –
Shor machta tha har taraf awaz lagti thi k yeh sodayi hai –
Mei tha woh pagal ya koi aur shaks humshakal tha mera –
Shayri mei bayan kiya meiney eik sama jo taari tha kabhi –
Dehektey aangaron per musalsal woh jalta raqs tha mera –