Zindagi ki raahon per

Zindagi ki raahon per –
Maanus raaston per –
Aksar –
Anjaan mo’d aajatey hain –
Manzilein hojaati hain dur –
Kabhi tabdeel bhi hojati hain –
Muhabbat hoti hai –
Nafrat bhi hojati hai –
Kabhi muhabbat ki intiha nafrat –
Tou kabhi nafraton ki qaatil muhabbat –
Is qatal o gharat mei –
Aksar –
Mar jaati hain roohein –
Jism zinda rehtey hain –
Khud apni hi parhtey hain fatiha –
Apni zaat ki tadfeen kartey hain –
Mout hai ikhtimam zindagi ka –
Ya zindagi ki intiha hai mout –
Is jeeney ki khawaish mei –
Us marney ki chahat mei –
Aksar –
Koi leta hai badla dunya sey –
Tou koi khud ko ilzaam deta hai –
Agar aisa hota tou acha tha –
Agar aisa na hota tou acha tha =
Is agar ki khwaish mei –
Us magar k wajud per –
Aksar –
Khayalat ki dunya basatey hain –
Khwabon ki sej sajatey hain –

Share on facebook
Share on twitter
Share on linkedin
Share on pinterest
Share on vk
Share on reddit
Share on tumblr
Share on whatsapp

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *